ajib aadmi tha wo mohabbaton ka git tha baghawaton ka rag tha kabhi wo sirf phul tha kabhi wo sirf aag tha ajib aadmi tha wo wo muflison se kahta tha ki din badal bhi sakte hain wo jabiron se kahta tha tumhaare sar pe sone ke jo taj hain kabhi pighal bhi sakte hain wo bandishon se kahta tha main tum ko tod sakta hun sahulaton se kahta tha main tum ko chhod sakta hun hawaon se wo kahta tha main tum ko mod sakta hun wo khwab se ye kahta tha ki tujh ko sach karunga main wo aarzuon se kahta tha main tera ham-safar hun tere sath hi chalunga main tu chahe jitni dur bhi bana le apni manzilen kabhi nahin thakunga main wo zindagi se kahta tha ki tujh ko main sajaunga tu mujh se chand mang le main chand le ke aaunga wo aadmi se kahta tha ki aadmi se pyar kar ujad rahi hai ye zamin kuchh is ka ab singhaar kar ajib aadmi tha wo wo zindagi ke sare gham tamam dukh har ek sitam se kahta tha main tum se jit jaunga ki tum ko to mita hi dega ek roz aadmi bhula hi dega ye jahan meri alag hai dastan wo aankhen jin mein khwab hain wo dil hai jin mein aarzu wo bazu jin mein hai sakat wo hont jin pe lafz hain rahunga un ke darmiyan ki jab main bit jaunga ajib aadmi tha wo