hajla-e-tarik mein pai hai is ne parwarish shama jalte hi dar-o-diwar par le ke matiyala sa kahida badan jhumti sar-mast aa jati hai ye pa-ba-jaulan chand parwanon ke pas ghota-zan pate hi jin ko aab-shaar-e-nur mein tez chamkili nukili aankh se yun dekhti hai bar-bar jaise ek sarmaya-dar mal-o-zar ki ot se karta hai muflis ka shikar phir nikal jati hai ye soz-o-gham ke shahkar raushni ke tajdar chand parwanon ki jaan-sozi se kya matlab ise shama ki raushni khayali is ke pichhe gard hai hajla-e-tarik mein pai hai is ne parwarish