ajib KHwahishen

manata mauj gar chuha main hota
sahar se sham tak phirta hi rahta

lage jab bhuk main mitha churaata
maze se bil mein baitha us ko khata

mohalle ke sabhi bawarchi-khane
bulaenge mujhe dawat udane

maze se dawaten har ghar mein khata
dahi maska milai dudh udata

agar billi chali aae jhapat kar
to ghus jaunga main bil dubak kar

manata mauj gar machhli main hota
hamesha tairte pani mein rahta

makan hota mera pani ke andar
bahut ujla bahut achchha bada sundar

maze se ghumta dhumen machata
kabhi main zor se pani udata

kabhi main meindakon se chhed karta
kabhi main bulbule pani pe lata

shikari gar mujhe lene ko aata
main pani ki tahon mein dub jata

manata mauj gar bandar main hota
uchhalte kudte baghon mein phirta

maze se jhulta pengen lagata
kabhi main shakh par hi gungunata

agar mali mujhe aankhen dikhata
jhapat kar us ki main pagdi udata

uchakte phandte banglon mein jata
main bachchon ko satata munh chidhata

kitaben topiyan baste udata
kisi ke sar pe phir chante jamata

manata mauj gar hota parinda
zamin se aasman ki sair karta

kabhi niche se main upar ko aata
jahan ko shoabde apne dikhata

maze se ghumta phirta hua main
kabhi thokar nahin khata faza mein

darakhton par sawere chachahata
khuda ki hamd main har waqt gata

koi bachcha pakadne ko jo aata
bhala kab us ke main hun hath aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close