gira pani ke nal se ek anda to kharbuza utha phir le ke danda falak par rail tezi se chali hai hawa dekho to pani se jali hai nadi mein tairta khargosh dekha to machhli ne paron ko khub sinkha mili chuhe ke bil se ek billi shri kaga bane hain shaikh chilli kabutar se hui kachwe ki shadi to bhaalu ne tamatar ko dua di jalebi tairti pani pe aai maze le le ke bhindi khub khai machaya shor kuchh sanpon ne aisa chalaya bakriyon ne khota paisa gadhe cycle chalae ja rahe the maze se dudh mitha kha rahe the falak par ud raha hai ek hathi miyan ghode chale hain ban ke sathi sar-e-rah pit gai chyunti bichaari gilahri ban gai ab to shikari thapak kar main ne mithe ko jagaya andhere mein namak tak gungunaya maze se ghas bandar kha rahe the chaba kar pan kawwe ga rahe the azan makdi ne di naddi pe ja kar miyan machchhar nikal aae naha kar