ajib log hain

ajib log the
suraj ki raushni ke tale

khud apne-ap ko pahchan bhi rahe the
aur

labon pe dawa-e-inkar-e-aftab bhi tha
wo jaante the ki suraj ki raushni ke siwa

koi charagh mayassar nahin hai aisa jo
talash-e-asl-e-haqiqat ke zine chadhte hue

be-imtiyazi mein is aaftab jaisa ho
ajib log the

suraj ke nur-khane mein
kirae-dar bhi the aur sar-nigun nahin the

kisi sharar-e-munafiq ne un ke sinon mein
zaban-daraazi ki us aag ko hawa di thi

jise qabila-e-ghaflat ke khushk logon ne
ana ke khabt pe aflak se nikale hue

kisi darinda-e-be-shakl ki tasalli par
barae-nashsha-e-haiwaniyat utha liya tha

magar ye kya
ki phir aaj is hamari basti mein

ajib log hain
suraj ki raushni ke tale

khud apne-ap ko pahchan bhi rahe hain
aur

labon pe dawa-e-inkar-e-aftab bhi hai
ajib log hain

suraj ke nur-khane mein
kirae-dar bhi hain

aur sar-nigun nahin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close