ajnabi kis khwab ki duniya se aae ho thake lagte ho aankhon mein kai sadiyon ki ninden jagti hain faslon ki gard palkon par jami hai ajnabi! kaisi masafat se guzar kar aa rahe ho kaun se deson ke qisse dard ki khamosh lai mein ga rahe ho dur se nazdik aate ja rahe ho ajnabi aao! kisi agle safar ki raat se pahle zara aaram kar lo phir sunenge dastan tum se anokhi sar-zaminon ki hawa mein tairte rangin makanon ki makinon ki padaw umr bhar ka hai alao tez hone do mohabbat-khez hone do shanasa khwahishon ki khushbuen jalne lagi hain ajnabiyat qurbaton ke lams mein sarshaar gum-gashta zamane dhundhti hai zindagi dukh dard bhi qarnon purane dhundhti hai!!