paigham hawa lai hai na jaane kidhar se patton pe ubhar aai hai tahrir kidhar se jo dekhi hai lai hai wo taswir kidhar se ek rah pe wo aaya hai ek lambe safar se mahmil mein wo be-khwab hai aalam ki khabar se kya dekhiye! kya shakl hui zer-o-zabar se ek wasl ke mausam mein jahan jag utha hai ghar-bar zamin kaun-o-makan jag utha hai khush ho ke wo aazurda-e-jaan jag utha hai kya waqt ki dahliz pe dastak hai kisi ki? soi hui duniya ko sahar dhund rahi hai is daur ko ek achchhi khabar dhund rahi hai