hai kahan wo saman dard ke nur mein dhul ke nikhre hue jism-o-jaan be-hisi ki chatanen giraati hui rah sang-e-khar hatati hui karb-e-takhliq ki naddiyan ruh ke zakhm dhoti hui tund jazbaat ki badliyan aabshaar-e-rawan wo mata-e-giran roz-o-shab ki faromaya gardan mein kho gai lazzat-e-wasl ki bekali hijr-e-betab ki raushni manzil-e-be-nishan ki kasak an-sune git ki naghmagi dasht-e-ayyam ke jaane kis mod par ajnabi rahguzaron mein gum ho gai dil gaya dil ki wo be-qarari gai qalb-e-majruh ki sogwari gai nala-e-shab gaya be-sabab ashk-bari gai jagne ke jo aasar the so gae subh-o-sham ajnabi ho gae ai khuda ai khuda azhdaham-e-tijarat mein tu hi bata khwab aankhon mein kaise basaenge hum kaun si rah par garm ashkon ke moti bichhaenge hum aah kis aarzu ke liye sar-e-mizhgan charagh-e-basirat jalaenge hum ishq mein kis tasawwur ke ab jaan se jaenge hum