ajnabi shahr

ajnabi shahr nazan na ho
hum gharib-ul-watan tere daman mein aae to hain

tujh ko beche to hain apne ilm-o-hunar sanaden
hum ko iqrar hai

teri raunaq se kab hum ko inkar hai
jaane kyon

har qadam par ye ehsas hai
ek nai car bankon ke qarze kya yahi apni miras hai

apni tahzib mazhab zaban
hath mein khali kashkol thame

sath chalte hain kyon
ek khalish dil mein rahti hai kyon

ki ye dollar hamara khuda to nahin
ajnabi shahr kaise bataen

tere daman ki ranginiyan dekh kar
yaad aate hain kyon apne wo ham-watan

jin ke chehre dhuan
jism laghar

khamida kamar
zindagi raegan

ajnabi shahr ab kya bataen
hum ne kyon chhod di

apne aangan ki 'usrat-zada aafiyat
apne ghar apne mausam apne naghmon ki masti

kis ko ilzam den
khud ko

haalat ko
zindagi ki nai tez raftar ko

ya ki un kargason ko jo siyasat ki gaddi pe hain jalwa-gar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close