alzheimer mariz ek man ke nam

mujhe ab kuchh na samjhao na kuchh bhi yaad dilwao
tumhaari kya samajh mein aaega main kaun si duniya mein rahti hun

main kitni muzmahil hun khoi khoi hun
durushti se mujhe samjhao mat main kaun hun

tum se mera rishta hai kya ye kaun sa ghar hai kahan hain sab
main bebas hun mujhe kyon yaad hai aur baqi manzar dhundle dhundle hain

ladakpan mein kabhi ham-joliyon ke sath baaten karti rahti hun
kabhi bhai bahan ke sath bachpan khelta hai ghar ke aangan mein

kabhi dulhan bani main khushbuon mein dubi hoti hun
mujhe samjhao mat ye sara dhoka hai

mujhe danto nahin main kya karun bolo
mere bas mein nahin hai kuchh

mujhe samjhao mat
bahlao

mera hath thamo pyar se mathe pe bosa do
yahi kafi hai mere waste tum pas ho mere

mujhe samjhao mat aaram karne do
jahan tak aakhiri manzil hai meri sath do mera sahaara do

mere aasab ko aaram karne do
mujhe meri hi duniya mein bhatakne do

yahi kafi hai mere waste tum sath ho mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close