ajnabi wadiyon mein

ai khusha-azm parwaz ka ye safar
jhilmilai jahan-e-digar ki sahar

wa hui aadmi par nai rahguzar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar

ye mazaq-e-talab ye shuur-e-junun
sai-e-fikr-o-nazar ka anokha fusun

kar gaya bakht-e-adam ko tabinda-tar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar

taj azmat ka dharti ko pahna diya
shauq ko ek hasin istiara diya

justuju ne banaya naya mustaqar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar

zauq-e-betab ko shoala-saman kiya
ek nai anjuman mein charaghan kiya

ajnabi wadiyon mein bajaya gajar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar

kar-e-parwaz hai bazu-e-irtiqa
de raha hai khalaon se koi sada

aazmao tawanai-e-baal-o-par
raqs kar zindagi zindagi raqs kar

aadmi apni duniya ka mukhtar hai
aadmi apne farda ka meamar hai

aadmi khud-nigar aadmi dida-war
raqs kar zindagi zindagi raqs kar

aadmi ho gaya fakhr-e-kaun-o-makan
ho gai ishq ki har nazar jawedan

ho gai husn ki har ada mo'atabar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar

waqt ke lab pe hai naghma-e-sarmadi
daur-e-hazir ka inam hai ye sadi

qalb-e-tarikh dhadka ba-tarz-e-digar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close