bajte hain duhal

qafile walo zara tez chalo tez chalo
kitne dildar hain aaghaz-e-safar ke lamhat

baam-e-gardun se utarti hai sitaron ki baraat
apne shoalon se ulajhne lagi tarikh ki lau

nur-afgan hain jabinon pe dilon ke partaw
zindagi sajti hai kis shokh ada ka mahmil

kham-ba-kham rah-guzaron ke dhadakne lage dil
wusat-e-najd mein bedar hua zauq-e-junun

ishq ki nabzon mein bhadki nae andaz se aag
dil ke har tar pe lahraate hain dahke hue rag

kitna hai shokh-zaban kakul-o-rukh ka afsun
husn ne bheja hai diwanon ko paigham naya

badh gai kah ke saba tez chalo tez chalo
qafile walo zara tez chalo tez chalo

badhte qadmon ke diye jalte chale jate hain
sanson ki aanch se kohsar gale jate hain

jaras-e-waqt ki aawaz khilati hai kanwal
mauj-e-anfas hai ya bajte hain sinon mein duhal

hausle shorish-e-tufan ko sada dete hain
qatre ko manzil-e-gauhar ka pata dete hain

munjamid lamhon ke khirman pe lapakte hain sharar
jhilmilata hua uthta hai marahil ka ghubar

soz-e-pinhan ki tadap kab hui paband-e-rusum
kis ko batlaiye kaliyon ki chatak ka mafhum

aai aawaz-e-dara tez chalo tez chalo
qafile walo zara tez chalo tez chalo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close