akaD shah aur mah-e-ramzan

akad shah behad pareshan tha
ki ab ja raha mah-e-shaban tha

bil-akhir hua khatm shaban bhi
aur aaya mahinon ka sultan bhi

laga karne fauran wo tayyariyan
wo le aaya khajla bhi aur pheniyan

akad shah ne jam jam ke kin sehriyan
talafi ko phir kar lin iftariyan

ye roze lage us ko bhaari bade
mashaghil sabhi tark karne pade

kaha sab se mujh ko bade kaam hain
ibaadat riyazat ke ayyam hain

bil-akhir rakhe us ne roze sabhi
dikha chand phir aa gai id bhi

to aam aur chashmon se waqif the jo
diya fitra sab ne akad shah ko

khili us ke dil mein khushi ki kali
wo samjha use us ki eidi mili

namaz us ne phir id ki ki ada
suni bhanjon ki phir us ne sada

akad mamun eidi hamari kahan
akad shah ko tha na is ka guman

kisi ko nahin di thi eidi kabhi
magar bachche chadh daude ab ke sabhi

mile us ko fitre mein jo chaar sau
har ek ko diye chaar-o-na-chaar sau

'usama' se qisse akad shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close