ustad ye qaumon ke hain meamar hamare in hi se hain afrad ziya-bar hamare jine ka saliqa bhi hamein in se mila hai ehsas-e-amal fikr bhi in hi ki ata hai in hi ki hai talim jo irfan-e-khuda hai in hi se moattar hue afkar hamare ustad ye qaumon ke hain meamar hamare tarik hon rahen to yahi rah sujhaen asrar-e-do-alam se ye pardon ko uthaen soi hui qaumon mein ye himmat ko jagaen rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-khwar hamare ustad ye qaumon ke hain meamar hamare ek nur ka minar lab-e-sahil-e-dariya ek mashal-e-bedar sar-e-wadi-e-sahra hai zulmat-e-afaq mein bas ek sitara hain dast-nigar in ke hi shahkar hamare ustad ye qaumon ke hain meamar hamare