akaD shah kahilon ka sardar

kiya kaam jo bhi to khai shikast
bil-akhir hui us ki himmat hi past

akad shah banta gaya posti
mohalle ke suston se ki dosti

sabhi sust mil-jul ke rahne lage
mashaqqat wo aapas mein sahne lage

unhi kahilon mein tha ek mal-dar
jo susti ka tha nisbatan kam shikar

kaha us ne sab kahilon se suno
tum apne liye ek afsar chuno

hai us ke liye kaun tayyar ab
jise hum kahen apna sardar ab

uthaya har ek sust ne sun ke hath
akad shah shamil tha un sab ke sath

magar hath us ne uthaya nahin
zaban se bhi us ne bataya nahin

akad shah se puchha phir ek ne
ki hath aap ke kyon nahin hain uthe

akad shah bola ai mere aziz
imarat nahin chhod dene ki chiz

magar mera susti ne chhoda na sath
faqat kahili se uthaya na hath

sabhi us ki susti ke qail hue
usi ki imarat pe mail hue

akad shah ko di gai ek car
akad kar hua us mein ek din sawar

rakhi us ne pahle to raftar kam
magar tez ki us ne phir ek dam

jo baithe the sathi wo hairan hue
ki tezi se us ki pareshan hue

phir ek sust ne kar ke himmat kaha
achanak ye tezi hai kya majra

akad shah ne rah ke chup thodi der
kaha acceletor pe rakha tha pair

magar phir jo susti rukawat bani
to raftar gadi ki badhti rahi

'usama' se qisse akad shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close