akad shah ek shakhs-e-nadan tha wo is baat se lekin anjaan tha thi us ki tabiat mein aawargi himaqat wo karta tha yak-bargi wo qarzon ke mare pareshan tha usul-e-tijarat se anjaan tha kharidar aate the bas khal-khal ki mausam ka rakhta na tha wo khayal ki sardi mein wo gole ghande rakhe to garmi mein wo uble ande rakhe december mein qulfi ki khole dukan may mein rakhe mote kapdon ke than