nadan koi ek roz jo jangal mein gaya akhrot ke baghat ka manzar dekha hai kitna bada ped to phal chhota sa ye soch ke wo aur bhi hairan hua is itne bade ped pe nanha sa phal tarbuz yahan hota to kya achchha tha tarbuz ko dekho to zara si hai bel qudrat ne dikhae hain tamashe kya kya tarbuz kahan aur kahan ye akhrot kya bhed hai meri na samajh mein aaya is soch mein tha ki ek hawa ka jhakkad aandhi sa bagula sa biphar kar uttha jangal ke darakhton ko hila kar us ne akhrot ko nadan ke sar par phenka sar par pada akhrot to chikha nadan tarbuz jo hota to main mar hi jata hikmat se koi kaam nahin hai khali jis ko bhi jahan tu ne kiya hai paida us ki jagah us ne nahin behtar koi ab raaz ye meri bhi samajh mein aaya