wo chae ki pyali pe yaron ke jalse wo sardi ki raaten wo zulfon ke qisse kabhi tazkire husn-e-shoala-rukhan ke mohabbat hui thi kisi ko kisi se har ek dil wahan tha nazar ka nishana bahut yaad aata hai guzra zamana bahut apna andaz tha la-ubaali kabhi the jalali kabhi the jamali kabhi baat mein baat yunhi nikali sar-e-rah koi qayamat utha li kisi ko ladana kisi ko bachana bahut yaad aata hai guzra zamana kabhi sachchi baaton ko jhuta bataya kabhi jhuti baaton ko sach kar dikhaya kabhi raaz-e-dil kah ke us ko chhupaya kabhi doston mein yunhi kuchh udaya bata kar chhupana chhupa kar batana bahut yaad aata hai guzra zamana kabhi bazm-e-ahbab mein shoala-afshan kabhi union mein the shamshir-e-burran kabhi bazm-e-waiz mein the pa-ba-jaulan badalte the har roz taqdir-e-dauran jahan jaisi dafli wahan waisa gana bahut yaad aata hai guzra zamana zamana tha wo ek haiwaniyat ka wo daur-e-malamat tha shaitaniyat ka hamein dard tha ek insaniyat ka uthae alam hum the haqqaniyat ka badhe ja rahe the magar baghiyana bahut yaad aata hai guzra zamana muqabil mein aae jasarat thi kis ko koi rok de badh ke himmat thi kis ko pukare koi hum ko taqat thi kis ko ki har bul-hawas ko the hum taziyana bahut yaad aata hai guzra zamana khayalat-e-pur-shauq ka silsila tha badal den zamane ko wo hausla tha har ek dil mein paida naya walwala tha har ek gam ahbab ka qafila tha idhar dawa karna udhar kar dikhana bahut yaad aata hai guzra zamana wo shah-rah-e-marrice ke pur-pech chakkar wo shamshad building pe ek shor-e-mahshar wo mubham si baaten wo poshida nashtar wo be-fikr duniya wo lafzon ke daftar ki jin ka sira tha na koi thikana bahut yaad aata hai guzra zamana kisi ko hui thi kisi se mohabbat koi kar raha tha kisi ki shikayat gharaz roz dhati thi taza qayamat kisi ki shabahat kisi ki malamat kisi ki tasalli kisi ka satana bahut yaad aata hai guzra zamana koi gham-zada tha koi hans raha tha koi husn-e-nahid par mar mita tha koi chashm-e-nargis ka bimar sa tha koi bas yunhi takta jhankta tha kabhi chot khana kabhi muskurana bahut yaad aata hai guzra zamana wo har january mein numaish ke charche wo pur-shauq aankhen wo hairan jalwe wo chakkar pe chakkar the bara-dari ke wo hasrat ki sau bar mil kar bhi milte hazaron bahanon ka wo ek bahana bahut yaad aata hai guzra zamana wo rukh aaftabi pe abru hilali wo timsal-e-simin wo husn-misali shagufon mein kheli gulabon mein pali wo khud ek ada thi ada bhi nirali nigahen bacha kar nigahen mila kar bahut yaad aata hai guzra zamana wo har-chand mujh ko nahin jaanti thi magar meri nazron ko pahchanti thi agarche mere dil mein wo bas gai thi magar baat bas dil ki dil mein rahi thi magar aaj ahbab se kya chhupana bahut yaad aata hai guzra zamana wo ek sham barsat ki din dhala tha abhi raat aai na thi jhutputa tha wo baad-e-bahaari se ek gul khila tha dhadakte hue dil se ek dil mila tha nazar sun rahi thi nazar ka fasana bahut yaad aata hai guzra zamana jawani adaon mein bal kha rahi thi kahani nigahon mein lahra rahi thi mohabbat mohabbat ko samjha rahi thi wo chashm-e-tamanna jhuki ja rahi thi qayamat se pahle qayamat wo dhana bahut yaad aata hai guzra zamana hamein biti baaten jo yaad aa rahi thin wo makhmur nazren jo sharma rahi thin bahut aql-e-sada ko bahka rahi thin badi be-niyazi se farma rahi thin unhen yaad rakhna hamein bhul jaana bahut yaad aata hai guzra zamana ab wo umangen na dil mein muraden ab rah gain chand mazi ki yaaden ye ji chahta hai unhen bhi bhala den gham-e-zindagi ko kahan tak dua den haqiqat bhi ab ban gai hai fasana bahut yaad aata hai guzra zamana aligarh hai badh kar hamein kul jahan se hamein ishq hai apni urdu zaban se hamein pyar hai apne nam-o-nishan se yahan aa gae hum na jaane kahan se qasam de ke hum ko kasi ka bulana bahut yaad aata hai guzra zamana mohabbat se yaksar hai anjaan duniya ye viran basti pareshan duniya kamal-e-khirad se ye hairan duniya khud apne kiye par pasheman duniya kahan le ke aaya hamein aab-o-dana bahut yaad aata hai guzra zamana