yun to diye namnak mein aks-e-kashida hadsat-o-waqiat ki apni koi ahmiyat nahin hoti lekin munakis zehn ghaur zarur karta hai khud se sawal karta hai khud ko jawab deta hai aur apne jawab ko sach sabit karne ke liye dalilen pesh karta hai lekin main ek shair hun ek aaina hun samaj ka aaina mere daere mein aane wale wajud ko mahfuz karna meri fitrat hai ye wajud meri aankhon mein nami jaisi mere honton pe hansi jaisi koi chiz rakh deta hai phir bhi mere liye ye zaruri nahin ki main apne baatin mein kashida wajud ke difaa mein dalil dun mujhe chhupane ka ikhtiyar hai aap samajhne ke liye aazad hain