main sadqe tere haq ke pyare kanhaiya zamin par khuda ke utare kanhaiya nahin ek gokul pe mauquf jalwe tere har kahin hain nazare kanhaiya maza to yahi hai teri marifat ka ki har qaum samjhe hamare kanhaiya wahi to hain bas zinda-dar-e-mohabbat tere ishq ke jo hain mare kanhaiya jafa-o-sitam ke andheron mein mil kar bane khalq mein chand tare kanhaiya mili hai unhen ko to rah-e-haqiqat chale hain jo tere sahaare kanhaiya ajab kya mazalim ki tarikiyon mein zamana tujhe phir pukare kanhaiya jo hain aaj bhi haq-parasti ke mahram wo zinda hain tere sahaare kanhaiya na dil 'kans' hai aur na wo daur 'afkar' magar rah gae haq ke pyare kanhaiya