aks ki qaid

wo bhi kaisi ladki thi
paniyon mein bahti thi

baadalon mein rahti thi
sans sans chalti thi

baat baat rahti thi
hont main hilata tha aur wo mahakta sa

git banti jati thi
jo qalam hilata to dil ke saf kaghaz par

nazm banti jati thi
aankh ke dariche mein chand ban ke khulti thi

aur mere khwabon ki wadiyon mein rahti thi
wo bhi kaisi ladki thi

apni maut se pahle dusre din aane ka
wada kar gai thi wo

dusra baras lekin bitne ko aaya hai
phir bhi wo nahin aai

kya ajib ladki thi
aaj wo fana odhe khak ke gharaunde mein

gahri nind soti hai
hansti hai na roti hai

bewafa nahin lekin bewafa si lagti hai
chand roz ruk jati

ashk ban ke aankhon ke paniyon mein kyon bahti
dhund ban ke khwabon ke baadalon mein kyon rahti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close