teri sansen hasin mausam ko thame dur ki rahon pe ja niklen magar phir bhi meri aankhon ke sahil par ye likkha hai ki tu ek din hamesha ki tarah hansti mahakti sham ki pazeb jhankati mere ghar laut aaegi magar is khwab ki kachchi kali jab bhi mahakne ko zara tadpi to sarkash aandhiyan chal den so ab tu hi bata mujh ko main hathon ki lakiron ke safar par jaun to kaise main thahra aks ka qaidi jo sochon ke siyah parde pe taswiren banata hai mujhe shahron ke jangal se kahan nirwan milna tha ye tere khwab ke andhe bayaban aaj mera gyan thahre hain main kandhon par azal se aasman rakkhe zamanon ki tahon mein gum usi pal ke dorahe par khada aawaz deta hun ki jis lamhe teri sansen hasin mausam ko thame dur ki rahon pe ja niklin dilon ke gumbadon mein koi bhi naghma nahin gunja na andhi raat ke dar par kisi ki dastaken gunjin main khud pe munkashif hone ko hun aakhir ki main apne taaqub mein teri yaadon ke dhundle raston ka ek musafir hun sunahre surajon ki ek chingari ka talib hun