bulb ka jabda khule aag baras jae to gar ye istakhar abhi khun se bhar jae to ya ye istakhar jahan aab ke manshuron se rang-e-hasti se fana ki ye dhanak ubhri hai koi istakhar na ho kokh ho meri man ki aur main main nahin shayad wo uchhalta pani jis ne sanson ki tanabon ko pakad rakha tha wae qismat ki mere hath mein rassi na rahi aah mera ye janin khun ugalta jae is qadar khun meri man ka batn bhar jae is qadar khun ki surgeon ka labaada mere surkh ayyam ki tanhai sa gadha ho jae aur tanbe ke kisi garm se bartan mein abhi mere lashe ke kate lakht pade hilte hon