lafz bhul jata hun baat kah nahin pata motiyon se pani par aks to banata hun kuchh main yaad rakhta hun kuchh main bhul jata hun raushni ko takta hun thodi der chalta hun dil mein baat jo bhi hai tum se kah nahin pata lafz bhul jata hun phir ye soch aati hai dil ki baat karne ko lafz kyon zaruri hain jo bhi tum ko padhna hai sab likha hai aankhon mein ho sake to padh lena padh agar na pao to khud se hi bana lena phir zara sanbhalta hun ek chhadi pakadta hun khidkiyon ke panne par ek shabih banata hun kuchh main yaad rakhta hun kuchh main bhul jata hun an-kahi si baaton mein silsile purane hain kaise kaise chehre hain kaise dostane hain zindagi zara si hai mukhtasar fasane hain rakh dil kureden to dafn kitni yaaden hain kaise kaise chehre hain qimti khazane hain