safar zindagi ki alamat hai lekin sabhi raste khote sikkon ki tarah meri jeb mein jaane kab se pade hain hawaon mein pila dhuan bhar gaya hai kai sal pahle main un se mila tha wo jin ki rahon mein thi raushni unhon ne kaha tha safar zindagi ki alamat hai chalte raho magar aaj main us jagah aa gaya hun jahan kuchh nahin hai hawaon mein pile dhuen ke siwa