phir wahi raat hai virani-e-dil hai mein hun tum na mil kar jo bichhadtin to bahut aasan tha zist ke ajnabi raston se guzarna mera tum ne badla jo na hota mera meyar-e-nazar koi mushkil na tha duniya mein bahalna mera apni tanhai ka dard aaj kahan se laun kis se fariyaad karun kis se mudawa chahun bhul tak bhi na sakun jis ko bhulana chahun ai meri wahshat-e-dil tu hi bata kya chahun rang-e-rukhsar gul-o-lala mein kab tak dhundun lab samajh kar tere shoalon ko kahan tak chumun marmarin jism ke ehsas mein khoya khoya chandni raaton mein be-wajh kahan tak ghumun tere anfas ki khushbu se moattar hai jo dil nikhat-e-lala-o-gul se wo kahan bahlega jis ne kal tak tere khulte hue lab dekhe the aaj kaliyon ke chatakne ko kahan samjhega ek kaunda sa to lapka tha meri aankhon mein phir andhere ke siwa kuchh nazar aaya na mujhe ek sitara sa to tuta tha meri raaton mein moajiza phir koi aankhon ne dikhaya na mujhe phir wahi raat hai virani-e-dil hai main hun