alamiya

muddaton baad tum is tarah mili ho mujh se
jaise hum mein na koi pyar ka rishta tha kabhi

ajnabi ban ke mere samne yun baithogi
hae dil ne mere aisa to na socha tha kabhi

tere pichke hue rukhsar ye viran aankhen
hont-e-pazhmurda kahen sari kahani teri

ek bhanwre ne tere husn ka ras chus liya
ek sitam-kesh ne luti hai jawani teri

jhidkiyan sun ke bhi tu panw dabae us ke
apne shauhar ki bhi ab kitni wafadar hai tu

us ke bachchon ko janam dene ki paband hai tu
us ke bistar pe ghadi ek ki mahkar hai tu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close