ye pyari urdu ki jis ka nahin hai koi badal hasin aisi hai jaise jamal-e-taj-mahal har ek des-niwasi ne pai ye miras wo ram ho ki karam singh ho ya ki mir-ghiyas hai masjidon mein muqaddas pawitra mandir mein har ek gali mein chalan aur guzar hai har ghar mein wo jo ki bolte hain bhant bhant ki boli to suniye un se bhi urdu jama ho jab toli kahin bhi jaiye urdu zarur paenge samajhne bolne wale to mil hi jaenge adab mein sher mein uncha maqam hai is ka samaj ke sabhi shobon mein nam hai is ka zawal is ko kabhi aae ghair mumkin hai dilon se mahw ye ho jae ghair mumkin hai hai is ke nur se raushan samaj ki duniya isi ke dam se hai aabaad raj ki duniya rahega qaem-o-daem mudam duniya mein chalega sikka-e-urdu tamam duniya mein jo zinda rahne ko aae wo kaise ho barbaad 'asad' lagao ye nara ki urdu zindabaad