ye be-rahm choton khasaron ki duniya ye kaghaz ke jhute sahaaron ki duniya ye rupyon ke lalach ke maron ki duniya ye rupya agar mil bhi jae to kya hai har ek jeb chhalni har ek aankh pyasi har ek rukh pe phaili hui bad-hawasi ho mansukh rupiyon ki kaise nikasi ye rupaya agar mil bhi jae to kya hai hamara hai phir bhi hamara nahin hai tasarruf par apna ijara nahin hai bulandi par apna sitara nahin hai ye rupya agar mil bhi jae to kya hai ye khun aur pasine ki gadhi kamai samajh mein yahi baat ab tak na aai bhala kab gharibon ke ye kaam aai ye rupya agar mil bhi jae to kya hai padi banjh hain a-t-m ki mashinen ghisin bank ki chaukhaton pe jabinen qataron mein sab chhup gai hain zaminen ye rupya agar mil bhi jae to duniya sabhi kale dhan wale hain khairiyat se jahan hain jidhar hain wo hain aafiyat se mile na mile un ko achchhi niyyat se ye rupya agar mil bhi jae to kya hai chamakdar dhan kale dhan se nikalo gharibon ko ranj-o-mehan se nikalo hamein tum hamare kafan se nikalo ye rupya agar mil bhi jae to kya hai ye mazdur ye aam tajir ye modi sabhi sada-lauhon ki kashti dubo di kisi ke bhi pichhe se sui chubho di ye rupya agar mil bhi jae to kiya hai badi shiddaten aurten sah rahi hai khadi apne ashkon mein wo bah rahi hai raqam le ke hathon mein ye kah rahi hai ye rupya agar mil bhi jae to kya hai rupae ghar mein rakhne ki achchhi saza hai na roti paki hai na salan bana hai kai din se ghar mein na chulha jala hai ye rupya agar mil bhi jae to kya hai nae note ka qadd-o-qamat to dekho ye churan ki parchi ki shamat to dekho ye kaghaz ki patli hajamat to dekho ye rupya agar mil bhi jae to kya hai ye hai bis sau ka magar sau se halka hai barik itna ki surma kharal ka currency ki aankhon ka pani hai dhalka ye rupya agar mil bhi jae to kya hai hamare saron ko faza mein uchhaalo hamein shauq-e-sabr-azma mein uchhaalo ye be-kar note ab hawa mein uchhaalo ye rupya agar mil bhi jae to kya hai har ek gham ko ifraat-e-zar mein baha lo maishat ka aisa janaza nikalo siyasat ki bhatti mein sab jhonk dalo ye rupya agar mil bhi jae to kya hai