chal ai nasim-e-sahra ruh-o-rawan-e-sahra mera payam le ja su-e-butan-e-sahra sahrai mahwashon ki khidmat mein ja ke kahna bhule nahin tumhein hum ai dukhtaran-e-sahra gar bas chale to aaen aur dard-e-dil sunaen tum ko gale lagaen hum phir miyan-e-sahra tum najd mein pareshan shahron mein hum hain hairan allah ki aman ho tum par butan-e-sahra tum is tarah ghamon se behaal ho rahi ho hum is taraf hain muztar daman-kushan-e-sahra hum pas aaen kyun kar tum ko bulaen kyun kar ye dukh mitaen kyun kar wamandgan-e-sahra betab hain alam se be-khwab ranj-o-gham se kya puchhti ho hum se ai dil-baran-e-sahra tum yaad kar rahi ho bedad kar rahi ho barbaad kar rahi ho ai gul-rukhan-e-sahra ye kya kaha ki tum ho ranginiyon ke khugar ghamgin hain tum se badh kar ai gham-kushan-e-sahra ye raat ye ghataen ye shor ye hawaen bichhde hue milenge kyunkar miyan-e-sahra shahron ki zindagi se hum tang aa chuke hain sahra mein phir bula lo ai sakinan-e-sahra yaad-e-sumum ho ya sarsar ke tund tufan darte nahin kisi se dil-dadgan-e-sahra aabaadiyon mein hasil aazadiyan nahin hain aa jao tum hi ud kar o tairan-e-sahra sahra ki wusaton mein hum ko na bhul jaana o dukhtaran-e-sahra o aahuwan-e-sahra ai abr chup na rahna mera fasana kahna mil jae gar kahin wo sarw-e-rawan-e-sahra dashti ki dhun mein saqi ek naghma-e-iraqi han phir suna ba-yaad-e-gul-chehargan-e-sahra aankhon mein bas raha hai naqsh-e-butan-e-sahra o dastan-sara chhed ek dastan-e-sahra mastana ja raha hai phir karwan-e-sahra han jhum kar hudi-khwan ek dastan-e-sahra dehat ki fazaen aankhon mein phir rahi hain dil mein sama rahi hai yaad-e-butan-e-sahra nazron pe chha raha hai wo chandni ka manzar sahra mein khelti thin jab huryan-e-sahra wo chandni ka mausam wo be-khudi ka aalam wo nur ka samundar reg-e-rawan-e-sahra jalwe mah-e-jawan ke wo rang-e-karwan ke wo naghme sarban ke raqsan miyan-e-sahra kyunkar na yaad aaen wo sim-gun fazaen wo aasman-e-sahra mah-e-rawan-e-sahra wo kam-sinon ke gane wo khel wo tarane be-fikri ke fasane wird-e-zaban-e-sahra kheton mein ghumte the har gul ko chumte the masti mein jhumte the jab mai-kashan-e-sahra wo ganw wo fazaen wo fasl wo hawaen wo khet wo ghataen wo aasman-e-sahra phir yaad aa rahi hain phir dil dukha rahi hain majnun bana rahi hain laila-washan-e-sahra raaton ko chhup ke aana aur shane ko hilana hai yaad wo jagana hum ko miyan-e-sahra wo un ki shokh aankhen wo un ki sada nazren be-khud bana rahi hain doshizgan-e-sahra wo ishq-pesha hun main jis ke jawan naghme gata hai chandni mein har naujawan-e-sahra ek badwiyat ka aashiq sahraiyat se be-khud 'akhtar' bhi apni dhun mein hai ek jawan-e-sahra