charagh imroz bujh raha hai dhuen ki maujen ubhar rahi hain shab-e-siyah muntazir khadi hai andhera chup-chap chha raha hai abhi hamare gharon ke andar sulag uthenge alaw apne hi jism indhan ka kaam denge gharon se bahar shajar pe ullu ki sard chikhen hansnegi hum par ki naghmagi koi shai nahin hai ki zindagi koi shai nahin hai khandar ki jaanib nazar uthao ye dur se kitna khubsurat dikhai deta hai pas jao to maut ki ek dastan hai jamal-e-shab wahima hai ai dil hamari basti mein rahne wale purane mai-khwar waqif-e-dard-o-gham nahin hain hamin hain donon ye main ye tu hum jalenge shab-bhar