dur gagan mein kahin tha ab tak khoya baadal aaj kai dinon ke baad roya baadal rota main muskuraata hun wo gham bitata main khushiyan manata hun baadal ke aansu ne sara jag bhigoya baadal aaj kai dinon ke baad roya ab baadal rota main hansta nahin tha us ke aansu par maza kasta nahin tha baadal ke aansu ne hariyali ka manzar laya sapnon sa tha darpan jag ko aansu ne chamkaya baadal ne jaise rone ki zid thi thani us ke aansu dharti par kar rahe the man-mani ab baadal rota to main bhi rota hun apne sapne us ke aansu se bhigota hun hariyali ka manzar jaise ujda kahi khoya baadal aaj kai dinon ke baad roya kuchh mahine bite baadal man gaya apne aansu ko thamna jaise jaan gaya ab badal muskuraata main muskuraata hun rone par kisi ke na hansna sab ko samjhata hun dur gagan mein kahi tha ab tak khoya baadal aaj kai dinon ke baad roya