hari masjid ki halki dhup mein taza wazu se gile panw aur tapakti aastinon ki chamak mein log the jo saf-ba-saf apna janaza padh rahe the sadar darwaze se ek barud mein duba hua jannat ka satta-baz aur huron ka saudagar achanak sahw ka sajda ada karne ko aaya aur hari masjid ne apna rang badla qurmuzi dahliz par jitne bhi jute the wo taza khun par pahle to tere aur phir jamte lahu par jam gae main bachpan mein kai mulkon ke sikke aur ticketen jama karta tha bayaz-e-zehn ke tarik pannon par main ab jismon ke tukde jama karta hun meri album ke safhon ki tahon se khun nikalta hai meri aankhon se rista hai