wo dastaken jo tumhaari poron ne in daron mein undel di hain wo aaj bhi in ke chob-reshon mein jagti hain tumhaare qadmon ki chap chup saaton mein bhi ek ek zarre mein bolti hai tumhaare lahje ke mithe ghao se aaj bhi mere ghar ka kudel chatan-sina chhana hua hai koi na jaane ki hanste baste gharon ke andar bhi ghar bane hain jahan muqaffal hain bite lamhe sabih din aur malih raaten ye waqia hai ki jo ilaqa tumhaare jalwon ki zad mein aaya ujad gaya hai ujad aangan tumhaari pahchan hain yahan log khud ko kaise shanakhtenge