alf-e-laila ki aaKHiri subh

fasana kaise badhe
na koi sahir-e-pazhmurda sin na saudagar

na chin se koi aae na bakhtar se koi
balakh ke shahr mein aur qaf ke paristan mein

koi pari na pari-zad kaun aaega
fasana kaise badhe

wilayaton ke faristad-gan-e-ishq to kya
kanar-e-bahr pe qazzaq bhi nahin koi

aza-kuninda-e-shab hai na hai payami-e-subh
na dasht-e-rah-zadagan mein hai sabz-posh koi

na dewta hai na autar hain na paighambar
fasana kaise badhe

hazaron raaton ki wo dastan tamam hui
hazaron qisson ki wo raat khatm par aai

bahana koi nahin
bas ab ki maal-e-shikast-e-bayan ki bari hai

fasana koi nahin ab to jaan ki bari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close