ek phul ka chaman mein talabgar main hua wo phul khil raha tha sar-e-shakh aarzu wo phul sad-hazar gulistan mein intikhab wo phul dilkashi ki kahani ka shokh bab doshizgi ka khwab bahaaron ki aab-o-tab har pankhudi nazakat-o-nuzhat liye hue wo gul tha itr-dan-e-mohabbat liye hue jazbaat ki tapish se machalne laga tha main garmi-e-arzu se pighalne laga tha mein resham ka jism rakhte hue khar ban gaya wo phul meri jaan ka aazar ban gaya ek roz mere sath hua waqia ajab betab ho ke dast-e-talab jab kiya daraaz hasil jo samne tha bahut dil-kharash tha manus ungliyan jo huin nok-e-khar se ek ek qatra un se tapakne laga lahu wo tis thi ki mujh ko khuda yaad aa gaya