main apne dil ka kashkol-e-tahi le kar na jaane kitni sadiyon se bhatakta phir raha hun dhundhta har ek qarya har ek ganw har ek aabaadi virana har ek kucha har ek gosha mohabbat aafiyat ikhlas hamdardi wafa murawwat dosti aur aashti amn-o-sukun har ek dar pe sada di hai har ek dar se jawab aaya mohabbat aafiyat ikhlas hamdardi wafa murawwat dosti aur aashti amn-o-sukun ye sab tum kah rahe kya ho ye sab chizen hain kya ye tum kis des ki karne lage baaten ye sab kuchh aaj pahli bar hi hum sun rahe hain han koi alfaz bhi hain ye koi mafhum hai in ka