sulagte sahra ke jab safar par main ghar se nikla to meri man ne yun mere mathe pe hont rakkhe the us ne aise diya tha bosa ki mere sare badan mein jis ne mahak mein duba dhanak sa rangin pyar amrit sa bhar diya tha mujhe jo sarshaar kar gaya tha faza mein khamosh si dua se ajib sa rang bhar diya tha ajab khushi thi ajib dukh tha ki tapte sahra ki ret jaise the hont us ke aur us ki aankhen sulag rahi thin labon pe chup aur kalam karti si guftugu thi mujhe tha malum aur use bhi ki dur hote hi tut jaenge band sare ki zabt ke ye kade sahaare na rok paenge khushk aankhon ki barishon ko wo baat-be-baat ro padegi meri man