alfaz ke jadu se sehr-karon ne har waqt patthar ko kabhi shisha kabhi aag ko shabnam nafrat ko mohabbat kabhi insan ko haiwan haiwan banaya jis rah pe chalte rahe gumrah musafir un rahon ko har mod pe, be-mod pe is tarah ghumaya ki jaise khalaon mein sabhi ghum rahe hon diwanon ki manind gardish ne unhen aur bhi diwana banaya diwanon ke qadmon mein ye latki hui zanjir alfaz ki ab chikh rahi hai alfaz pe diwane bharosa nahin karte