jab insan ne padhna sikha padhne laga tahzib ki aayat mitti aag hawa aur pani dushman sare ban gae yar us ki aayat ki tafsiren ab itni hain ki aql hai dang lekin ek aisi hai baat jis se ki banti hai baat in be-ginti tafsiron ki har ek insan insan hai jab insan ne padhna sikha padhne laga tahzib ki aayat girne lagin diwaren khulne lage darwaze jin logon ne diwaren banwai hain bhul gae tahzib ki aayat