ek hi pal mein uchat jati hai ye nind meri ek bijli si chamak jati hai in aankhon mein yak-ba-yak tez phuwaren jun baras jati hon aur aangan mein sukhane ke liye sab kapde tar-ba-tar ho ke lipat jate hain ek dori se un ko maujud hai ek dor badan ki manind thartharaati hui aati hai chali jati hai par hawa un ko juda kar nahin sakti yaksar jab talak sukh na jae jo nami un mein hai rahte rahte teri taswir ubhar aati hai meri aankhon mein kisi parda-e-simin ki tarah yak-ba-yak tez phuwaren jon baras jati hain dur ek algani si hai wo mere pas nahin