gosha-nashini ke chillon se parhez phike zamane ki tasbih ke tai-shuda sab wazifon se be-lazzati kar-e-duniya ki be-rang qaus-e-quzah hanpti zindagi ke wahi raat-din main ne daftar se kuchh roz waqfa kya aur jangal ki jaanib ka rasta liya main tujhe tut ke dekhta hun khuda-e-zaman jhumti shakh pe phul khilne ki ranginiyan ped ki tahniyon pe falak se utarti huin barishen aur bhige hue jaanwar be-tahasha parinde jo ghote lagaen khule aasman mein tu jhilon ki sab machhliyan tairti hain khade paniyon mein mere ganw ke khet mein shaariken bagh mein koyalen ghaar ki tirgi mein basere hain chamgadadon ke hiran bad-hawasi mein jiwan ki khwahish ki tabir hain reg-zaron mein barish ne sabze ke farshe ko raushan kiya to kai rang ki titliyan jhadiyon se numudar hone lagin aur aabi dhanon pe ek dusre ki zaban ko samajhte hue tairan-e-falak ka akhuwat-bhara silsila zard mitti ki diwar pe rengti ye siyah chyuntiyan nilgun aasman pe muhajir parindon ki sab toliyan aur lawa ugalti zamin pe bhi khema-nashin hain kai kekde goya tamsil ka ek jahan pech-dar-pech khulta gaya meri be-lazzati kasmasati hui khak hone lagi aise arzang mein main to gosha-nashin ho gaya