kahne ko to yun kah dete hain bhaarat ko agar gadi kahiye to hindu aur musalman hain is gadi hi ke do pahiye ya madar-e-hind ki aankhon ke hindu muslim do tare hain ho jaen agar ye shir-o-shakar phir kya hai ware-nyare hain jab baat ye hai to kyun donon ek ek ko girana chahte hain kyun qasr-e-qaumiyyat ki bina ye donon dhana chahte hain gadi jo chalana chahte ho pahiya koi na-hamwar na ho gar did ka lutf uthana hai to aankh koi be-kar na ho kya ham-sayon se lad padna quran sharif mein aaya hai kya ham-sayon se shar karna wedon ne kahin batlaya hai phir nahaq kyun apni quwwat ko hum din-raat ganwate hain khud ladte hain dukh bharte hain jo ghair hain un ko hansate hain yun aapas mein ladte ladte kya jaaniye kya ho jaenge ek din aisa aa jaega hum donon fana ho jaenge achchha ye baat batae koi ab tak lad kar kya paya hai in roz ke qisson jhagdon se kya hath hamare aaya hai hum aazadi tak kho baithe is aapas hi ki ladai se bhaarat ki naw dubo baithe is aapas hi ki ladai se is aapas hi ki ladai se iflas se hum do chaar hue is aapas hi ki ladai se hum aise zalil-o-khwar hue daulat jo sharaf ka bais thi ab sat samundar par gai is aapas hi ki ladai se ek bar nahin sau bar gai be-koshish kuchh bhi mil jae is dahr mein ye dastur nahin han dil se koshish kar dalen to achchhe din kuchh dur nahin ho meri tamanna par 'nayyar' qudrat ki taraf se sad kahin allah kare wo din aae ye mulk bhi ho aazad kahin