kyun na ab tum se tasawwur mein karun baat suno tum se ye kahna hai mujhe tum kahogi nahin main wajh-e-sukhan jaan gai yaad se teri hi mamur hain din-raat ye kahna hai mujhe tum kahogi ki main hasti ko kafan man gai rah-e-ulfat mein kabhi hoga tera sath ye kahna hai mujhe tum kahogi main zamane ka chalan jaan gai kaun badlega ye haalat ye kahna hai mujhe tum kahogi main unhen dar-o-rasan man gai zindagi ye hai to marna bhi hai baraat ye kahna hai mujhe tum kahogi ki ye main sokhta-tan jaan gai 2 main zamane ke hun aain ka paband ye kahna hai mujhe tum kaho dekho ki ye marg-e-abad hai ki nahin han main is pe hun raza-mand ye kahna hai mujhe tum kaho jaur-e-zaman ki koi had hai ki nahin mujh pe har rah hui band ye kahna hai mujhe tum kaho zinda giraftar-e-lahad hai ki nahin han giraftar hun do chand ye kahna hai mujhe tum kaho neamat-e-hasti se ye kad hai ki nahin 3 tum meri zist ke virane mein partaw ho khayabanon ka main to sarsar hun ki viranon se kya mel khayabanon ke tum to ho naghma-e-shab-tab mare ujde shabistanon ka main to shewan hun ki shewan hain nishan aise shabistanon ke tum naya rup rachao naya singar ho mere nae armanon ka main to hun khun-e-tamanna ki sada khun hua karte hain armanon ke tum to amrit ho malalon ke alaw mein jali jaanon ka main nahin rakh bhi kya aur nishan honge malalon se jali jaanon ke