khuda ram hai aur khuda ishwar wo bhagwan hai kul jahan us ka ghar usi ka karam aur usi ki daya ye maktab ye talim ka hausla kitabon mein wo kar-khanon mein wo zamin hi nahin aasmanon mein wo usi ki nawazish ka izhaar hain jo sar-sabz-o-shadab ashjar hain usi ki inayat chaman rang-o-bu mohabbat masarrat khushi justuju burai se hum ko bachae wahi andhere mein rasta dikhae wahi wo rahman hai aur wahi hai rahim gunahgar ke haq mein rabb-e-karim