alwidaa kaise mah-o-sal guzre ab na kuchh bhi yaad hai sirf hain dhundle nuqush ya basarat ki kami hai kuchh nazar aata nahin bas kitabon aur filmon mein rahi ek basirat ki talash kuchh na kuchh roti ki bhi thi justuju jaane kis manzil ki thi wo aarzu be-sabab logon se yarana raha aur phir tanha raha barson talak sab the qaidi apne apne jal ke tamannaon ki daldal mein pade kis mein himmat thi ki badle zindagani ke purane khol ko hum se sarkash ko diya karte the nam aur hans kar khush hua karte sare ajnabi kaun samjhae ki hum mahkum hain mazlum hain bebasi kaise muqaddar ban gai bolega kaun khauf aisa hai ki koi shakhs kuchh kahta nahin jaane kis tufan ke sab muntazir hain but bane kaise chillaun ki apna ham-nawa koi nahin alwidaa khud apne sae ko magar kahna pada