tumhaare dukh ek kaghaz par likh kar us ki ek kashti banai ja sakti hai aur is kashti par aane wali do chaar sadiyon ka safar kiya ja sakta hai tumhein yaad hi hoga aaj se kuchh sadiyan pahle jab darbar mein baithe hue tum ne apni ungliyan kat lin thin main ne apne bhaiyon par e'tibar kiya tha e'tibar to khair main ab bhi kar leta hun un tamam ladkiyon par jo meri munh-boli mahbubaen hain lekin main jaanta hun munh boli mahbubaon ke dukh sautele bhaiyon ki tarah hote hain jin par inhisar nahin kiya ja sakta