be-yaqini ke zine pe chalte hue us ne bahar qadam jo nikala to cafe ki diwar se dekhti monalisa ke chehre pe sadiyon se phaila tabassum bhi ek pal ko gahna gaya tina sani ki aawaz ke sae mein us ke honton ki jumbish sarabon si mahsus hone lagi us ki aankhon pe chhai hui dhund chaaron dishaon mein udne lagi be-yaqini ka zina qadam-ba-qadam us ke pairon ke hamrah badhne laga aah khinchi aur us ne do-alam ki sari udasi ko apne badan mein sameta to socha ki kohra udasi ka ham-zad hai yak-ba-yak zabt ki aamariyyat ke baghi kisi khwab ne us ki palkon ke zindan se kud kar khud-kushi ki to mafrur aansu qataren bana kar nikalne lage gol-chakkar pe raushan kisi qumqume ke ujale mein gende ke phulon ne jab us ke galon pe girti hui os dekhi to murjha gae surmai ghas ne sal ki aakhiri sham mein aaj pahli dafa us ko khamosh dekha to nam ho gai chaaron jaanib utarti hui dhund ne khud ko kuchh aur bojhal kiya us ko logon ki nazron se ojhal kiya aur wo ladki kahin kho gai