dimaghon mein pakte hue garm lawe ke aage tamanche se ugle hue garm sayyal sise ki auqat kya hai zabanon pe khilte hue aql-o-danish ke phulon pe ghurrahaton ki garaj mein barasti hui galiyan apni layaniyat jaanti hain gul-rukhon pe ye zanjir-o-ahan se dhae gae sab sitam apni na-paedari pe matam-kunan hain udhadti hui jild jismon se nakhun larazti hui ungliyon se sar aashuftagan ki dhalakti hui gardanon se utarte hain lekin ulum aur qalam jawedan hain zamanon ki udti hui rakh mein hurriyat ke taranon ki khushbu basi hai wahi sab tarane jinhen gane walon ko dahki hui bhattiyon mein jalaya gaya tha wo diwangi ke payambar manon khak odhe hue jagte hain jinhen sach ke parchaar ke jurm mein zahr-pyala pilaya gaya tha fasilon se shab ke andhere mein phenki gai maskh lashon ka dar ud-o-ambar se mahki masahri pe bechain karwat badalte hue shah ki aankh mein jagta hai