amar jot

andhera har taraf chhaya hua hai
andhera hi azal hai aur andhera hi abad ki jot hai shayad

isi tarik chadar ki tahon mein
adam ke khwab se tarikh jagi

isi tarik chadar mein tamaddun muskuraya khilkhilaya jagmagaya
yahi tarik chadar khawar-e-tahzib ka mashriq bani aakhir

yahi tarik chadar odh kar haiwaniyat ne rup dhaaran kar liye lakhon
isi tarik chadar mein simat kar gum hui hasti

yahi mashriq yahi maghrib
andhera hi azal hai aur andhera hi abad ki jot hai shayad

andhere ki isi diwar-e-chin ko
kabhi 'suqraat' ki hikmat ne dhaya

kabhi isa ke khun-e-garm-o-taza ne kiya rangin
kabhi gautam ki mausiqi ke sayon ne ise ghera

kabhi zarb-e-mohammad ne kiya tukde
husain ibn-e-ali ke khun-e-nahaq ke thapedon se kabhi kanpi kabhi larzi

faza mein ek chingari si tadpi
aur us ke baad us ke baad

chhai phir wahi manhus tariki wahi manhus tariki
andhera hi azal hai aur andhera hi abad ki jot hai shayad

andhere ki jabin-e-ahani se
ye kaisi jot phuti muskurai jagmagai

ye kis ki muskurahat se bani insaniyat gulshan
ye kis ne hind ki tarik duniya ko kiya raushan

dukhi duniya sitaron se bani dulhan
zamir-e-zindagi mein karwaten lene lagi ek mustaqil dhadkan

waraq tarikh ne tezi se ulte
taghayyur le ke saz-o-barg-e-tamir-e-jahan aaya

bani aadam ki duniya ko sajaane
dil-e-suqraat-o-isa jhum utthe

jabin-e-budh se nikli ek nai jot
andhere hi se phuta ek naya saut

andhera apni hasti kho raha hai
andhera nur mein hal ho raha hai

nae dipak ki joti muskurai
jahan ko kar diya raushan

jahan ko manawta ko zindagi ko qalb-o-jaan ko kar diya raushan
siyah-khane mein apna jal le aae nae khake

nai duniya banane ki tamanna ke nae khake
ki phir zalim andhera jang-ju hasid andhera

liye tarikiyon ke jal aaya
nigar-e-amn ke dipak pe tuta

kabhi kirnon kabhi dipak ko luta
zamin se aasman tak mauj-e-khun hai

abhi tak aadmi said-e-zabun hai
andhera hi azal hai aur andhera hi abad ki jot hai shayad

agar suqraat ka dipak hai raushan
siraj-e-ibn-e-mariyam gar abad tak bujh nahin sakta

koi jhonka agar shama-e-shahid-e-karbala ko chhu nahin sakta
to ai tarik duniya to ai mayus insan

bujha sakti nahin hai koi aandhi
yunhi raushan rahegi shama-e-gandhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close